Eucharistic Liturgy in Hindi
Parmeshwar Ke Logo(n)
Ka Dhanyawaad
Yukhristhiay ki Widhi
Mandali Ki Ikatta Hona
Kadachit logo(n) ko namaskar kahe sakthe hain.
Wishay aur khas wishiayon ki prasthuth karna ya dhaniawaad.
Thab sab khade hothe hai mukhiay purohith ya sewak kisi ek agaami namaskar ko prayog karthe hain.
Parmeshwar ki anugrah aur shanthi thumhare saath rahe I.
Parmeshwar thumhe sachai aur anand se bhar de
Prabhu thumhare, saath rahe.
Prabhu thumhe aasish de /
Yahi wah din hai jise Prabhu ne banaya.
Ham us par prashan (Khushi) aur anand manay.
Din Ki Wakiay kadachit pada jaay.
Agaami niwedhan ko khahe.
He sarwoshaktimaan Iishwar sab ke hirday tere samhne khule
hain, sab ki ichchayen tujhe maalum hai aur tuj se koi bhed
chipe nahin apne Pawithra aathma ke prerena ke dwara hamare
hirdayon ki bicharon ko shudh kar thaki ham tujh se prem rakhay
aur yogiayriti se tere pawithra naam ki prashansha kare Hamare
mukhtidaata Yishu Krisht ke dwaara.
Amin !
Agaami mahima ki prathna kadachit yahan bola ya gayaa jae ya paap mochaan
ke baad.
Iishwar ki mahima howe aur prithwi par
Iishwar ke logo ko shanthi mile
He Prabhu lishwar swargiay rajaa
Sarwoshaktimaan Iishwar pitha, ham teri aradhana
Karthe hai(n), ham tujhe dhaniawaad dete hai(n),
He Prabhu Yishu Krisht pitha ka eklautha puthra,
Prabhu lishwar, lishwar ka memna,
Thu dunia ki paap utta lay jaatha hai, ham par daya kar,
thu pitha ki dahini or baitta hai hamari prathna sun /
kewal thu hi pawithra hai, kewal thu hi prabhu hai,
kewal thu hi, Yishu Krisht,
Pavvithra aathma ke saath lishwar Pitha ki mahima me sab se
adhik mahan hai.
Amin.
Mandali ghutna teke.
SANCHIPT ME KANOON KI WIWARAN
Krisht ke shichao(n) ko suno
Thu apne prabhu parmeshwar se apne sare hirday
Se aur apne sare praan se aur apne sare budhi
Se aur apne sari shakthi se prem rakhna yah
Pahili aggya(n) hai / Aur Dusri yeh hai ki
Thu apne padosi se apne samaan prem rakhna.
He Parmeshwar ki aathma hamari hirdayo(n) Ko janch /
Ya
EK NAYA AAGYA(N)
Krisht ki sichao ko suno Main thumhe ek naii aggya deta hun kit
hum ek dusre se prem rakho, jaise mai ne thum se prem rakha.
He Parmeshwar ki aathma hamari hirdayo(n) Ko janch /
Kadachit daya – yachna ko prayog kar sakthe hai.
He peabhu daya kar.
He Krisht daya kar.
He prabhu daya kar.
Ek ya aur bachno ko kadachith pada jae.
Iishwar ki bachan suno we sab jo Krisht ke or fhirthe hain:
Parmeshwar jagath se aisa prem rakha ki usne apna eklautha
puthra de dia thaki jo us par Biswas kare wah naas na ho,
paranthu anath jiwan paen.
Agar ham apne papon ko maan le tho parmeshwar imandar aur
dharmi hai aur hamare paapo ko chama karega aur hame sab
apradhon se sudh karega.
Yishu ne kaha:
Ek man fhirane wale paapi ke bishe me
Parmeshwar ke swarg duton ke biich me anand hotha hai.
Mere paas aoo thum sab jo parishram karthe aur
Bhoj se dabe whue hai aur mai tum ko
Bishram doonga.
Mukhiay purohith ya sewak kahatha.
We sab jo sachai se Paschathap karthe hai(n)
Aur biswas se Krisht ke taraf fhirthe aur
Dusro(n) ko chama karthe, parmeshwar uske.
Wada ke anusar chama karega.
Maon ya shanth rahe
Aao ham apne apne paapo(n) ko swikar kare.
PAAPANGIKAAR
He dayalu parmeshwar, ham ne man bachan
Apkar aur bhalai na karne se paap kie hai,
Ham ne agyan se paap kia: ham ne durbaltha se paap kia.
Ham ne jan bujh kar apne galthi se paap kia.
Ham suchmuch me dukith hai.
Ham tere tharaf paschathap kar ke fhirthe hai.
Hamare mukthidata Krisht ke dwara hame
Chama kar aur hamare jiwan ko nawin kar,
Tere naamki mahima ke lie.
Amin.
PAAPMOCHAN
Mukhiay purohith Paapmochan ko ghoshith kartha hai.
Krisht ke krus ke dwara, Parmeshwar thum
Par daya kare / thumhe chama kare,
Thumbe swathantra kare / aur ya jaane ki
Thumhe chama mili aur shanthi se raho /
Parmeshwar Thumhe sab achchai (bhalai) me samharth de
Aur thumhe ananth jiwan me racha kare(n) /
Amin /
Khada hokar, Parmeshwar ki mahima ki isthuthi ko yaha(n) kaha ya gaa sakthe
hai.
Agaami ko kadachit kahe sakte hai.
Krisht ki shanthi hamare hirdo(n) me rajiay kare.
Krisht ki bachan ham me bade prathap se baas kare
Din ki wakiay ko kaha jae.
Din ki niwedan ko yaha(n)aage ya parbachan ke baad kaha jaye.
Mandali Baitte hai(n).
Bachan ki ghoshna
Paath ya adhdian
Paatt ... se lia ... Adhiay ... se aarambh
Paatak kadachit kahe
Suno aathma (Girja) kalisia se kia kahathi hai
He Parmeshwar teri dhaniawaad ho.
Har ek paatt ke baad kadachit bhajan sahi(n) tha bhajan Ya vandana ko gaya jae.
Thab sab kadhe ho jae, aur susamachar ke paatt kahe..
Pawithra susamachar ... anusar ... (adhiay ... aur ... padh ... se
arambh ... )
He Parmeshwar teri prashansha aur mahima howe
Susamachar ke baad kadachit maondharan kia jae.
Paattak kahe:
Yah Krisht ke susamachar hai Parvachan ya updesh yaha(n) par ya Dridh Biswas ke baad dia jae.
He Krisht Bachan teri mahima howe< /p>
Parvachan ya updesh
Dridh Biswas ka bachan
Sab kade ho kar kadachit nikia ka biswas bachan ko kahe ya gaya jae.
Ham biswas rakhthe hai(n) ek lishwar Pitha sarowshaktiman
parjo swarg aur prithwi aur sab drishiay
Auradrishiay padaratho(n) ka kartha hai.
Ham biswas rakhthe hai(n) ek prabhu Yishu Masih
Par jo lishwar ka kewal ek hi puthra hai /
Ananthkaal se pitha sejanith,
lishwarse lishwar,
Jyothi se jyothi, sathiay lishwar se sathiay lishwar,
Krith nahi(n) parjanith, Pitha ke saath ek thathwo,
Uske dwara sab kuch bana /
Wah hamare lie aur hamare thraan ke lie
Swarg se uthar aaya, aur pawithra aathama se
Aur kumari mariam se sharirdhad huwa / aur
Pumthea manushiay bana hamare lie ponthius
Pilathus ke adhikar me krus par chadaya gaya
Usne dukh saha aur kabr me rakha gaya /
Aur shaasthr ke anusar thisre din ji utta aur wah
Swarg ke upar chad gaya aur pitha ki dhahini
Or baitta hai / aurjiwith aur mrithako(n) ka
May kame mahima ke saath phir (ane wala hai)
Aayega aur uske rajiay ka anth na hoga /
Ham biswas rakhthe hai(n) Pawithra aathma par, jo
Prabhu aurjiwandata hai, wah pitha aur puthra se
Nikaltha hai, pitha aur puthra ke saath ektha me uske
Aradhana aur mahima hothi hai / aurwah nabio(n) ke
Dwara bola / Ham bishwas rakhthe hai(n) ek pawithra
Ketholic aur prerithiay kalisia par / aur ham ek
Bapthisma ko mantha hu(n) jo paapmochan ke lie hai
Ham mrithako(n) ke punruthan aur aane wali
Yug ke Oagath) jiwan ki prathicha karthe hai(n) /
Amin.
Mukhiay purohith ya sewak kahathe hai(n)
Ham kalisia aurjagath ke lie prathna kare aur
Parmeshwar ki kripa ke lie dhaniawaad de
MANDALI YA JANTHA KI PRATHNAY(N)
Prathna dhaniawaad ke saath aur aagami wishay ke lie arpan ki jae:
Sarowik aur isisthaniay kalisia yah jagath aur hamare rastr, isthaniay samaj aur
swargi samaj auro(n) ki jaruratho(n) aur hamare seokaio(n)
Niwedan aur dhaniawaad ki rachnao ko niche prabandh ki gaii hai.
Ya niwedan aur dhaniawaad kadachit sewak
Ya mandali ki sadashio apne shabdon (bachno) me arpan kar sakte hai(n)
Dhaniawaad ke baad
Tere prem aur kripa ke lie.
He lishwar ham thujhe Dhaniawaad dete hai.
He prabhu ham thujhe Aashish dete hai.
Dhaniawaad Parmeshwar.
Hamare dayamay Parmeshwar
Thujhko dhaniawaad dete hai(n).
Jiski daya – sahanshiltha Sarowda hi hai.
Niwedan ke baad
Prem – may parmeshwar.
hamari prathana ko sun.
Karunamay Iishwar
Tu hamare binthi ko sunthe ho.
Prabhu teri daya se hamari binti sun hamari binti sun.
He prabhu hamari Binthi, hamari aur rolai.
Prathna aap thak Pahu(n)che.
Niwedan aur dhaniawaad (ki prathana)
PAHELI PRATHNA KI RACHNA
Samay samay se maon ya shanthi kadachit rakha jae.
He sarowshaktiman Pitha tere waada ke
Anusar ham yishu ke naam se prathna kare
Tho thu sunega isi lie ham us bharosa aur biswas se
kalisia ke lie prathna karthe hai(n) /
Wishesh niwedan aur dhaniawaad ko kadachit arpan Kia jae /
He Pitha, kalisia ko tere updesh mala ko
Sajiu bana rakhna /
Thaki ham is prithwi ke namak aur sansaar
Ki jyothi bane /
He Pitha apne logo(n) me naya jiwan bharde
Hame Samarth de ki ham bachan aur
Karm se Krisht ko prakat kar sake.
Ham sansaar ke lie prathna kare(n)
Wishesh niwedan aur dhaniawaad kadachit Arpan kar sakthe hai(n)
He sab wasthuo(n) ki srijanhar hame aur Pratiek jan ko
niay aur shanthi ke marg me Chalana (sachalith karna)
Thaki ham, kadachit swathanthrata aur
Sachai se ek dusre ko aadar kare I
Is sansaar aur is me sab kuch ke lie ham
Me adhbuth budhi jagrith kar /
Hame sikha kii is sansaar ki sadhno ko
Kaarietha se dekh rekh (bhaQ kare I
Ham samuclay ke lie prathna kare.
Wishesh niwedan aur dhaniawaad ko kadachit. Arpan kar sakthe hai(n).
He sachai ka Prameshwarwejo nimay
Karthe hai unhe thu budhi ki prerith kar
Thaki unki prabhaw dusm(n) ki jiwan par pade
thaki sab kadachit imandari aur sahas
Se kaariay kare /
Un sabo(n) ko anugrah pradan kar, jinke
Jiwan se hamari sambandh hai.
kadachit ham krisht me ek dusre ko
Sewa kare, aur prom rakhe jaise usno
Ham se prem rekhthe hai(n) /
Jiski awashkatha hai ham unke lie prathna kare:
Wishesh niwedan aur dhaniawaad ko kadachit arpan kar sakthe hai(n).
He aasha ki Parmeshwar, wejo shadr, man
Ya aathma me dukhith hai, unhe santhwan aur
Swasth pradan kar /
Kadachith we jane ki tere prem ki changai
Me shakthi hai I
Hame thu apne daya ki ichuk karak bana
Hame shakthi pradan kar kyo(n) ki ham logo
Ko pum swasth banane me bhagi hothe hai /
Mrithako(n) aurwejo shokith hai, unko ham smaran karthe hai(n) /
Wishesh niwedan aur dhaniawaad ko kadachit Arpan kar sakthe hai(n)
Ham un mdthako(n)jo Krisht me biswas karke
Mar chuke hai(n) aurwe jinke biswas thujhe
Hi malum hai, dhaniawaad ke saath smaran
Karthe hai /
He Pitha ham unko tere hatho me
Sao(n)pthe hai(n) /
Jo log wilap karthe hai(n) unko santhwana de
Unki ghati ya shok ke samay me unko shanthi do /
Ham thujh ko prashansha karthe hai, unke lie
(Naam ....) aur tere santho ke lie we jo tere
ananth mahima me prawesh ho chuke hai(n)
Kadachit unke udhaharan se hame
Prerana aur uththejith mile /
Ham apne aur apne seokai ke lie prathna kare
(Kadachith wishesh niwedan aur dhaniawaad ko arpan kar sakthe hai, aur
prathnaho(n) ko ek aagami prathna ke dwara samapth ki jae)
He Prabhu thu ne hame tujh ko sewa kame ke
Lie bulaya hai /
Hame yah pradan kar ki ham tere
Upasthithi me chale, tera prem hamare
Hirday me, teri achai hamare man me
Tere samarth hamaare ichao(n) me, jab thak
Ki hamari yathra ki anth me ham ghar
Aane ki anand ko, jane aur tere
Uthsah ke swikar se hame swagath karna. Amin /
Ya
Tera wachan harnare pawon ke lieye deepak hai, He swargia Pita
hame andhkar me, jyoti me, sankat aur aanand me, hame sahaiyta
kar, ki tere prem me bharosa rakhe, aur tere naam kii prayojan kii
sewa kareh, harnare Prabhu Yishu Krisht ke dwara /
Amin !
DUSRI BINTHI KI RACHNA
Kadachit samay, samay se maon ya shanth rahe.
Prathiek bhag prathna ki rachna me wishesh niwedan aur dhaniaywaad ko
kadachit samlith kia jae, aur saath me anubachan aur uththar ko samlith kiya jae
ya niranthar prathna ke saman prayog kia jae /
He swarg aur prithwi ke Parmeshwar yishu ke
dwara tu ne wada kia ki jab ham biswas
aur dhaniawaad ke saath prathna karthe hai(n)
tho tu hamare binthi ko suntha hai(n) /
Ham ek dusre, hamare pariwaro(n) aur
M ithro(n) ke lie prathna kare, jis ke dwara
Ham prem karna sikha aur ham se bhi prem
Kia jae / Un sab ke lie jo hame racha
Karthe hai, ham tujhe dhaniawaad clete hai
Hame anugrah de ki ham Krisht ko
Sewa kare jaise ki ham apne paclosio(n)
Aur samuclae ko sewa karthe hai(n)
Jaise usne ham se prem rakthe hai(n)
Waise ham bhi dusre se prem rakhe(n)
(Maon ya shanthi)
(He prabhu) ham thujh ko tere nirantar prem ke lie
dhaniawaad clete hai ki tu Yishu Masih me
pratheik manush ke sahara hai /
we jo shok, kasht, bimar hai, ya kisi anye
klesh me ho unke santhwan aur changai de
unhe unki sankat me sahas aur aasha de
aur we jo unko sewa karthe hai(n), unko asirwad de /
(Maon ya shanthi)
Dhaniawaad ke saath tere srishti ke anek
Daano aur in diipo(n) ke miras ke upjau ko
Smaran karte hai(n) /
Hame aur sab logo(n) ko sabjagah sahaytha
Kar ki prithwi ki sadhno ko niay aur
Shanthi se hissedaar howe /
We jo hamare madhiay me adhikar rakhte
Hai aur sab rashtro ke aguao(n) ko budhi de
(Maon ya shanthi)
Ham (is) sansaar ke sab or ke tere
Kalisia ke lie binthi karte hai(n) aur we jo
Krisht aur uske raiiay ko sewa karte hai(n)
Thujh ko dhaniawaacl dete hai / tere aathma
Se thu apne logo(n) ko is sansaar me tere
Kariay aur shacni dene ke lie samarath de /
Tere sachai aur prem me hame ek karna
Thaki ham jo tere naam ko swikar karte hai(n)
Kadachit tere mahima ki chinthan kare /
(Maon ya shanthi)
Ham unko dhaniawaad ke saath smaran
Karte hai(n), we jo Krisht me mar chuke hai(n),
Aur prathiek yug ke santho ke biswasniay
Sakchi ke lie ham, anand manate hai(n),
Binthi karte hai(n) ki ham kadachit unke
Saath tere swarg rajiay ke
Anthhin anand me prawesh howe /
(Maon ya shanthi)
(He) Dayalu Parmeshwar we jo tere taraf
phirte hai(n) unko tu kripa ke drishti se dekhthe
hai aur tere logo ki binthio(n) ko sun /
Yeh pradan kar ki jo kuch ham biswas
Se (me) mangaa hai, kadachit ham tere
Anugrah ke dwara prafth kare,
Hamare Prabhu Yishu Krisht ke dwara.
Amin !
Logo ki binthi kadachit aagami prathnao(n) se. Ya dusra uchith niwedan se ki jae /
1He dayalu Parmeshwar tune hame anugrah
dia ki ham ek hirday aur ek awaaz se
prathna kare / aur tune prathiggia kia jab ki
do ya tiin jan tere naam me sahamath hokar
prathna kare to tu unko sunte hai(n) /
Ab ham prathna karte hai(n) ki tere logo ki
Binthio(n) aur bhilashao(n) ko purn kar,
Ki hamare aur tere rajiay ke achchai ke lie ho
Yah pradan kar ki ham is sansaar me
Tere sachai ko jane aur aane wali lok me
Teri mahima ko dekhe /
Amin !
2He achche Prabhu jin wasthuo(n) ke lie tere
Daaso(n) ne binthi kia. hame yah anugrah
Pradan kar ki ham un kario(n) ko kar sake,
Aur tere prem ki abhiprae me hamari
Prathna ko jawab de aur hamari aashao(n) ko
Pura kar / Yishu ke karan /
Amin !
3Ab hamara Parmeshwar we jo hamari marg
Aur samajh se kahi(n) adhik kaam kar saktha
Hai, us samarth ke anusarjo ham me kariay
Kartha hai, kalisia me aur masih Yishu me
Uske mahima yuganyug hoti rahe /
Amin !
Ham Krist ke shicha ke anusar prathna kare:
He hamare Pitha / Tu jo swarg me hai /
Thera naam pawithra kia jawe / tera rajiay
Aawe / teri ichcha jaisi swarg me puri
Hothi hai prithwi par bhi howe / hamari
Prathi din ki roti aaj hame de /
Aur hamare apradho(n) ko chama kar /
Jaise harnme bhi apne apradhio(n) ko chama
Kia hai / aur hame paricha me na la /
Pranthu burai se bacha /
Kyo(n) ki rajiay
Aur samarth aur mahima yuganyug teri
hi hai / Amin !
Sanskar Ki Seokai
Shanthi dhan
Sab khade hai(n), Mukhaiy purohith logo(n) (Mandalli se kahe)
Krisht ki shanthi thumhare saath rahe
Aur thumhare saath bhi /
Bhaiyo(n) aur bahano ham krisht ke deh hai(n)
Ek hi aathma ke dwara ham ek hi
deh me bapthisma paye hai(n) /
Shanthi ke bandhan me aathma ki ektha rakh /
Amin. Ham Krisht ke prem me bandhe hai(n) /
Arpan ki thaiyari
Ek bhajan ya bandhana ko gaya jae
Pawithra mej thaiyar hai Mukhaiy purohith uthna
Roti aur dakhras lete hai(n) jisko kadachit mandali(sabha)
Ki prathinidhio(n) ke dwara aage laya jae /
Logo(n) ki arpano(n) ko pradaan ki jae /
Mukhaiy purohith kadachit kahe
He Prabhu mahantha aursamarth aurmahima aurvijay
aur prathap tera hi hai /
Swarg aur prithwi me sab kuch tera hi hai
Aur tere hi chijo(n) me se ham thujhay dete hai(n) /
Ya
Dhaniay hai tu sab srishti ke Parmeshwar, tere achaai
Ke dwara tere diye uway daano(n) ko ham baatte hai(n) /
Hamari arpano(n) ko tere mahima aur tere rajiay ki
Sewakai ke liye swikaar aur prayog kar /
He Parmeshwar tu sarwada dhaniay hai.
Yeh Mahan Dhaniawaad
Yeh salaha di jathi hai ki log aagami prathna
Ke anth tak kadhe ya ghutna teke rahe /
Mukhiay purohith kahe ya gaye
He Prabhu teri upasthiti yaha(n) hai
He Parmeshwar teri aathma hamare saath hai(n) /
Apne hirday ko prabhu ki or uttao /
Ham unhe Prabhu ki or uttathe hai(n) /
Ham Prabhu hamare parmeshwar ka dhaniawaad kare(n) /
Dhaniawaad aur prashansha karna uchith hai /
Yeh awashiay uchith hai aur hamari anand aur
Mukthi hai, he pawithra Prabhu Sarowshakthiman Pitha,
Ananth lishwar, Masih Krisht tere puthra ke dwara
Sab samay aur sab jagah me tera dhaniawaad
Aur prashansha kare /
Tu sab jiwan aur achchai ka sotha hai,
Tere ananth bachan ke dwara tu ne aadi se
Sab kuch srishti ki aur apne rup me ham ko
Nar aur nari karke banaya /
Jab hamne paap kia aur ghoom gaye,
Tu ne hame swen bulaa liyaa,
Aur tu ne apnaa putra ko diaa jisne
maanao swabhaao kii bhagii huwe,
Kruus par un ke mrithiu ke dwaaraa,
usne jagat ke paap ke liye ek
purn balidaan kia aur hame
paap kii bandhan se swatantra (ya mukat) kia !
Tu ne unko mrithiu par viraaj maan jiwan dekar uttaya;
Tu ne unko mahima me uunchaa kiaa!
Tu ne apnaa pawithra aurjiiwan daayak
aathma bhej kar us me(n) tu ne hame ek pawithra
samaaj banaya !
Is liye biswaasii mritko(n) ke
saath jo us me vishraarn karte hai
aur swarg duuton aur pradhaan
duuton aur samast swarg sangat
ke saath ham tere mahaan aur
prataapii naam ko goshit karten hai,
sada terii prashansaa karte aur aise bolte(n) hai(n):
Pawitra, pawitra, pawitra Prabhu, Saamarthi aur
Shakthimaan Parmeshwar,
Swarg aur prithwii terii mahimaa se paripuran hai !
Aakash me hoshaanaa !
Aur kadachit en bachano ko jodh sakate hai(n) :
Dhaniay hai wah jo Prabhu ke naam se aatha hai /
Aakash me hosana
He Pawithra Pita, Sab Mahima aur Dhanyawaad Tera Hi Hai,
Tere Putra Yishu Krisht Marne Se Pahele, Us Raat Ko Roti Li,
Tujhe Dhanyawaad Dekar Todi, Apne Chelo(n) Ko Di Aur Kaha,
Leo Khaao, Yeh Meri Deh(n) Hai Jo Tumhare Liye Di Jaati Hai,
Yeh Meri Smaran Me Kia Karo.
Aur Biyari Ke Ananthar, Us Ne Katora Liya
Aur Dhanyawaad Dekar Unko Diya Aur Kaha
Tum Sab Ise Piyo, Kyo(n) Ki Nai Wacha Ka Yeh Mera Lahu Hai,
Jo Tumhare Aur Bahutho(n) Ke Paap Mochan Ke Liye Bahayaa
Jata Hai,
Jab Jab Tum Ise Piyo, Yah Meri Yaad Me Kia Karo
He Prabhu Krisht teri mahima howe,
Ham teri mrithiu ko pragat karte hai(n)
Ham teri punruthan ko ghoshit karte hai(n)
Ham teri lautne ki prathicha karte hai(n)
Amin / He Prabhu Yishu tu aa /
Is liye he prem-may Parmeshwar ham
Krisht me tere mahan achchai ko, uske
Dukh aur mrithiu ko,
Uske punruthan aur swargrohan ko, jisko tu ne
hamare liye kia usko ham smaran karte hai(n) /
Aur uske aagaman ki mahima ke liye prathicha karte hai(n),
Aur hamari udhar ke uthsow ko is jiwan ki roti aur is mukti ke
katora ke saath ham manathe hai(n) /
Hamari prashansha aur dhaniawaad ke balidan
ko swikar karjisko ham Krisht hamare
maha yajak ke dwara arpan karte hai(n)
Tere pawithra aathma ko bhej ki yeh roti aur
dakhras ki daan jisko ham prapth karte hai(n)
kadachit hamare liye Yishu ke deh aur lahu
ho jae, aur ham tere aathma ke anugrah aur
shakthi se bharjae, tere rajiay ke sewakai ke liye
kadachit nawin ban jae /
He Parmeshwar ham Krisht me ek hokar,
sab jo prithwi aur swarg me tere samane
khade hai(n), tujhe ananth githo(n) aur parshansha
ke dwara aradhana karthe hai(n)
Aadar aur mahima teri hi hai,
Yaha(n) aur sab jagah, ab aur
Sarowda ke liye
Amin !
Kadachit Maon ya shanthi ko rakh sakthe hai(n)
Prabhu Bhoj
Prabhu ki prathna (jisko kam se kame k bar aradhna me prayog kia jae)
Kadachit yaha(n) bola jae, in bachno9n) se ya isi ke samaan bachno(n) se aarambh (parichay kia jae)
Ham Krist ke shicha ke anusar prathna kare:
He hamare Pitha / Tu jo swarg me hai /
Thera naam pawithra kia jawe / tera rajiay
Aawe / teri ichcha jaisi swarg me puri
Hothi hai prithwi par bhi howe / hamari
Prathi din ki roti aaj hame de /
Aur hamare apradho(n) ko chama kar /
Jaise harnme bhi apne apradhio(n) ko chama
Kia hai / aur hame paricha me na la /
Pranthu burai se bacha /
Kyo(n) ki rajiay
Aur samarth aur mahima yuganyug teri
hi hai / Amin !
Purohith roti thodthe hai(n)
Kadachit maon rakh sakthe hai(n)
Ham is roti ko todte hai(n), is liye ki ham Krisht ki Deh me bhagi
hote hai(n) /
Ham jo bahuth hai, ek hi deh hai
Is liye ki ham sab ek hi roti me Bhaag lete hai(n) /
Prabhu bhoj me kadachit in prathnao(n) me se kisi bhi prathna ko aage ya
prabhu
– bhoj me ya wekthigath bhakthi ke tarah prayog kia jae.
He mahan dayalu Prabhu, ham teri wiwas prem me aathe
hai(n) /
Hamare hatho(n) maile te, hamari hirday taiyar nahi te,
Ham yogaiy nahi te ki tere mej ke niche se tukdo(n) ko
khaay /
Lekin he Prabhu tu hamare mukthi ka Parmeshwar hai aur
tu papio(n) ko apna roti ba(n)tte hai(n) /
Is liye tere puthra ke bahumuliay deh aur lahu se
Hame shudh kar aur poshan de taki wah ham me baas kare
Aur ham us me baas kare /
Aur ham Krisht ke samasth sangathi ke
Saath kadachittere rajiay me baytte
Aur bhojan kare
Amin !
Ya
He dayalu Prabhu, ham apni dharmiktha par
Bharosa karke nahi, pranthu teril badi daya par
aasha karke teri pawithra bedi ke paas aane ki
sahas karte hai(n) / ham is yogya nahi hai, ki
ham tere bhojan manch ke niche se chur char
batore, lekin tu wahi Prabhu hai, jiska swabhao
sada, daya karne wala hai / He Kripallu Prabhu,
hame yeh war de, ki ham tere priay puthra Yishu
Masih ki deh aise khaaye(n), aur uske rakth
aise piye(n), ki ham sada usi me baas kare(n)
aur wahi ham me baas kare
Amin !
He parmeshwar ki memna tu jo is jagath
ki paapo(n) ko utta le jaata hai, ham par daya kar.
He parmeshwar ki memna tu jo is jagath
ki paapo(n) ko utta le jaata hai, ham par daya kar.
He parmeshwar ki memna tu jo is jagath
ki paapo(n) ko utta le jaata hai, apni shanthi hame
pradaan kar.
Ya
He Yishu, Iishwar ka memna, ham par daya kar.
He Yishu tu hamare paapo(n) ka wahak hai,
Ham par daya kar.
He Yeshu jagath ka udharkarta, apni shanthi hame
pradan kar.
Prabhu Bhoj Ki Nimanthran
Purohith mandala ko nimantharan dete huay kahathe hain
Paas aao aur hamare mukthidata Yishu
Krisht ke deh aur lahu ko prafth kar,
Iske smaran me ki wah hamare lie mara
Dhaniawaad aur biswas se ham sab usko
Apne hirday me poshan le.
Mukhiay purohith aur mandalli Prabhu sa(m) bhojan
Ko prapth kare /
Sewak aagami bachno(n) ko prathiek wekthi se kahe /
Hamare Prabhu Yishu Masih ki deh, jo tumhare
Lie di gaii /
Hamare Prabhu Yishu Masih ka rakth jo
Tumhare lie bahaya gaya /
Prathiek baar pakh bhojan me bhagi hone wale Kadachit yeh utthar de
Amin !
Agar roti aur ya dakhras Prabhu – sa(m)bhojan me bhagi hone walo(n) ke lie kam ho jae to mukhiay purohith pawithra mej ke paas wapas jae aur kahe:
Sarowshakthiman Parmeshwar, tere puthra Yishu Krisht
ke aggya(n) maan kar, jisne roti li / katora aur kaha: yeh
meri deh / lahu hai, hum bhi is roti / dakhras ko lete hai
aur prathna karte hai ki tere bachan aur aathma ke dwara,
kadachit hamare lie is sanskaar mekrisht ked eh aur lahu ho
jae.
Amin.
Prabhu sambhojan ke baad ki prathna
Din ki wakaiy ya dharmshasthr ke kuch uchith wakiay ko kadachit kaha jae.
Kadachit maon ya shanthi
Prabhu ki prathna (agar aage prayog nahi ki gaii hai to) yaha par kaha jae.
He sab logo(n) ke pitha ham tujhe dhaniawaad dete
Aur prashansha karte hai(n) jab ki ham door
Hi te tere puthra me tu ne ham se bhe(n)t kia
aur hame wapas ghar laya /
Mar karjiwith ho kar usne tere prem ko ghoshith kia,
hame anugrah dekar mahima ki fhatak ko khola /
kadachit ham jo Krisht ki deh me bhagi
hote hai uskijagrith jiwan me rahe
Ham jo uske katore me se piithe hai(n), dusro(n) ko jiwan de;
Ham jo aathma ke jyothi se pum hai, jagath ko jyothi de /
Jis aasha ko tu ne hamare samane rakha
Us me hame drid racha karna, taaki ham aur
Tere sab santhan swathanthr rahe, aur jagath ke
Sampurn log tere naam ki prashanshaa ke lie jiay /
Amin !
Ya
He sharowshakthiman Parmeshwar tu jo sab
achche Wasthuo(n) ko dene wala, ham thujh ko
dhaniawaad dete hai(n), ki tu ne ham ko hamare
mukthidata, Yishu Krisht ke bahumuliay deh aur
lahu me aatmik Bhojan khilaya hai /
Ham tera prem aur racha ke
Lie tujhe dhaniawaad dete hai, ki tu ne hame
Ananth jiwan ki daan ki aaswasan di aur tere
Saath hame ek kia /
Is lie sarowda jiwate Parmeshwar,
tere pawithra sangathi me hame drid
achal racha kar / aur ab ham sab apne
aap ko jo kuch hamare paas aur ham
hai, tujh ko ham arpan karte hai,
taki is jagath me ham imandari se
tujh ko sewa kare, Yishu Krisht hamara
udharak ke dwara jis ko tere saath aur
pawithra aathma ko sab aadar aur mahima
ab aur sada hi rahe / Amin !
Mandli ki bidai
Mukhiay purohith ya jab bishop upasthith hai to kadachit wah mandali ko
ashirwad dege.
AASHIRWAAD
Ishwar ki shanthi jo sare samaj se pare hai
Tumhare hirday aur man ki lishwar aur
Uske puthra Prabhu Yishu Krisht ke gyan
Aur prem me racha kare
Aur lishwar Sarowshakthiman Pitha, Puthra aur Pawithra
Aathma ki aasish tum par howe
Aur Sarwada tumhare sangh rahe.
Amin !
Mandali ko in bachno ke saath bahar bheja jaye ya bidai
Ab jaoo, Prabhu ko prem se sewa karo
Shanthi se jaoo
Amin. Ham Krisht ke naam se jathe hai(n)